baat ki baat se dar lagta hai is musawat se dar lagta hai tum koi baat samajhte hi nahin bas isi baat se dar lagta hai jis mein koi na mile apne siwa us mulaqat se dar lagta hai dil ba-zid hai ki wahi baat kaho sab ko jis baat se dar lagta hai raaz ki baat to koi bhi nahin arz-e-haalat se dar lagta hai jin mein garmi na ujale na mahak aise din-raat se dar lagta hai khud ko parkha to ye samjhe 'anjum' kyun kisi zat se dar lagta hai