zanjir to pairon se thakan bandhe hue hai diwana magar sar se kafan bandhe hue hai khushbu ke bikharne mein zara der lagegi mausam abhi phulon ke badan bandhe hue hai dastar mein taus ke par bandhne wala gardan mein masail ki rasan bandhe hue hai shayad kisi majzub-e-mohabbat ko khabar ho kis sehr se dharti ko gagan bandhe hue hai mearaj-e-aqidat hai ki tawiz ki surat bazu pe koi khak-e-watan bandhe hue hai suraj ne andheron ki nazar bandh ke puchha ab kaun ujalon ka sukhan bandhe hue hai