ban gai naz mohabbat talab-e-naz ke baad aur bhi aise kai raaz hain is raaz ke baad qadr kya soz-e-tajalli ki sahar saz ke baad thahar sakti nahin shabnam meri parwaz ke baad apni manzil to bana lete hain duniya wale main kahan jaun teri jalwa-gah-e-naz ke baad main hi duniya ki sada ban ke nahin hun khamosh khud bhi chup ho gai duniya meri aawaz ke baad log aaghaz se karte hain talash-e-anjam main ne anjam na socha kabhi aaghaz ke baad main gunahgar-e-nasheman hun na paband-e-qafas fitratan kuchh to sukun chahiye parwaz ke baad is mohabbat mein hai tauhin-e-mohabbat 'anjum' wo agar mujh ko pukaren meri aawaz ke baad