baat ko meri alag ho ke na sharmao suno kuchh kaha chahun hun main tum se idhar aao suno main to jaane ka nahin ru-ba-ru us ke yaro kuchh wo gar tum se kahe hai to tumhin jao suno chhedne ko mere gar aap ka ji chahe hai be-adab hun main mere haq mein jo farmao suno baat bhi mano kisi ki koi ye bhi zid hai apne aashiq ke tain itna na tarsao suno gul-sanobar ka agar qissa hai tum pas miyan padhne wala bhi to maujud hun main lao suno ai dil o dida maal is ka bura hi samjho dekh kar us ke tain itna na lalchao suno 'mushafi' baat to kahne do zara qasid ko pahle hi harf mein tum itna na ghabrao suno