har pari-wash ko khuda taslim kar leta hun main kitna saudai hun kya taslim kar leta hun main mai chhuti par gahe gahe ab bhi bahar-ehtiram dawat-e-ab-o-hawa taslim kar leta hun main be-wafa main ne mohabbat se kaha tha aap ko lijiye ab ba-wafa taslim kar leta hun main jo andhera teri zulfon ki tarah shadab ho us andhere ko ziya taslim kar leta hun main jurm to koi nahin sarzad hua mujh se huzur bawajud us ke saza taslim kar leta hun main jab baghair us ke na hoti ho khalasi ai 'adam' rahzanon ko rahnuma taslim kar leta hun main