gham ne ye saut ke meri haalat tabah ki

gham ne ye saut ke meri haalat tabah ki
baithi to dil ko tham ke utthi to aah ki

hat-chhat ho tum agar to hun main bhi zaban-daraaz
phir kaun si hai shakl batao nibah ki

darwaza is taraf ko karenge zarur wo
ye to batao tum ne bhi kuchh is ki rah ki

jati thi haj ko rah mein baddu jo aa pade
daulat samajh ke le gae gathri gunah ki

yun chand khan pade rahe bimar sal bhar
chhutti na li miyan ne magar ek mah ki

aise sharab-khwar khasam par khuda ki mar
maike se main jo lai thi daulat tabah ki

laila akal-khuri ne na li us ki kuchh khabar
majnun ko aarzu hi rahi apne byah ki

ladki kahin falak pe na judti thi sand ko
ab chand-o-git gae na lad ke biyah ki

ye jaan ka azab farishte gale pade
marne pe bhi na pai bua ja panah ki

aati hai uthte baithte 'shaida' labon pe jaan
ja kar jawani khol gai rah aah ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close