jis mein amal ka josh nahin wo shabab kya masti to dil mein chahiye shaghl-e-sharab kya kya dard-e-dil muharrik-e-khidmat nahin raha jannat thahar gai hai bina-e-sawab kya yunhi nazar uthi thi zara dair ki taraf milta hai ab ye dekhen haram se khitab kya apnon se khauf hai ki kahin ghair hi na hon hai is se badh ke aur jahan mein azab kya ummid doston se wafa ki hai aaj tak ab tak nahin mili nazar-e-kaamyab kya aakhir kahan se aa gain ye kaj-adaiyan aadam ki thi sarisht mein mitti kharab kya haal-e-zabun ke aaine duniya mein hain bahut dekhi nahin kabhi koi chashm-e-sarab kya apni bisat jaan ke khamosh ho gaya shair hun main to dunga kisi ko jawab kya hans hans ke ham-nashinon ne charke lagae 'amn' in mehrbaniyon ke karam ka hisab kya