dhund hi dhund hai raste mein jahan tak jaun

dhund hi dhund hai raste mein jahan tak jaun
raushni tere taaqub mein kahan tak jaun

meri auqat kahan main bhi makin dekh sakun
bas yahi baat badi hai ki makan tak jaun

aql kahti hai teri sari tag-o-dau be-sud
dil kahe ishq mein be-sud ziyan tak jaun

ain-mumkin hai judai ki ghadi tal jae
dil ka farman hai main hadd-e-guman tak jaun

lazzat-e-did ka izhaar kahan mumkin hai
aankh se gar mile fursat to zaban tak jaun

hosh kho kar jo surur aae use kya karna
kucha-e-hosh se kyon shahr-e-mughan tak jaun

zabt ke band 'hidayat' main kahan tak bandhun
chashm-e-tar dard-ba-kaf dasht-e-fughan tak jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close