khudaya ishq mein achchhi ye shart-e-imtihan rakh di laga kar mohr-e-khamoshi mere munh mein zaban rakh di jo puchho dil se shai tum ne kahan ai mehrban rakh di badi nakhwat se kahte hain jahan chahi wahan rakh di kisi ke jaur-e-behad par bhi jab khamosh rahna tha to phir kyun ai khuda tu ne mere munh mein zaban rakh di mohabbat ka nishan tak bhi zamane mein nahin milta utha kar chiz ye ai aasman tu ne kahan rakh di kahan tak hadsat-e-barq-o-baran se rahun khaif khuda ka nam le kar main ne tarah-e-ashiyan rakh di