ganwa kar aan kuchh paya to kya hai khudi ka git ab gaya to kya hai kuchh aisi aandhiyan dil mein chali hain wo is tufan mein ghabraya to kya hai tani hai aasman pe kali chadar diya ek raushni laya to kya hai azab-e-akhirat ka khauf le kar kisi ke kaam jo aaya to kya hai mohabbat dar darichon se wara hai zamin par ho rahe saya to kya hai nawa-paira chaman mein bulbulen hain khizan ka rang agar chhaya to kya hai