ek mafruza taqaddus khud pe tari kar raha hun koh-e-isyan se bahishti nahr jari kar raha hun chahta hun arsh-o-kursi tak pahunchna rafta rafta asfaleni khwahishon par yun sawari kar raha hun munhamik hai pairahan shaghli mein kyun chashm-e-takhayyul main abhi uryan badan par dast-kari kar raha hun nafs-e-taskini pe us ne sau taqaze rakh diye hain main jo har lazzat pe fikr-e-hamd-e-bari kar raha hun sar-nigun guzra hai shayad ab ke talwaron ka mausam be-irada shahr ki mardum-shumari kar raha hun