gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin kahun kaise haal-e-dil un se main meri hilti tak ye zaban nahin ye bhanwar hain bahr-e-hayat ke main hun khasta-haal-o-shikasta-o-dil meri dagmagati hai naw ab kahin milta mujh ko karan nahin tujhe dhundun bhi to kahan ki jab hun main khud hi zulmat-e-yas mein mujhe bazm-e-hasti mein mil saka tere naqsh-e-pa ka nishan nahin gham-e-dil hi mera nikal do meri zindagi se jo tum agar to wo dastan hi kuchh aur hai mere haal-e-dil ka bayan nahin main sunaun kis ko ye haal-e-dil main dikhaun kis ko ye dard-o-gham main hun aisi haalat-e-zar mein ki khud apna mujh ko guman nahin nahin git baada-o-jam ke yahan aur hi koi baat hai ki main jis bala mein hun mubtala wo bala-e-ishq-e-butan nahin tu hai zarre zarre mein zau-fishan nahin milta phir bhi kahin nishan koi 'shaghl' ab ye batae kya tu kahan hai aur kahan nahin