baaten hamari yaad rahen phir baaten aisi na suniyega padhte kisu ko suniyega to der talak sar dhuniyega sai o talash bahut si rahegi is andaz ke kahne ki sohbat mein ulma fuzla ki ja kar padhiye ginyega dil ki tasalli jab ki hogi guft o shunud se logon ki aag phunkegi gham ki badan mein us mein jaliye bhuniyega garm ashaar 'mir' daruna daghon se ye bhar denge zard-ru shahr mein phiriyega galiyon mein ne gul chuniyega