mai-khane mein badhti gai tafriq-e-nihan aur shishe ka bayan aur hai saqi ka bayan aur inkar-e-haqiqat bhi hai ek sair-e-haqiqat hota hai yaqin aur to badhta hai guman aur rangin fazaon mein tapakne lage aansu aaya hun gulistan to shabnam hai chakan aur is darja bhi mayus na dekhi thin bahaaren duniya mein hain ai dost bahut mulk-e-khizan aur har gam 'nushur' aabla-pai ka hai aalam kuchh dur hai ye qafila-e-dard rawan aur