mere josh-e-gham ki hai ajab kahani kabhi uthta shoala kabhi bahta pani hai khushi ka sauda khalish-e-nihani hai jigar ka chhaala samar-e-jawani jo khushi hai fani to hai gham bhi fani na ye jawedani na wo jawedani azali mohabbat abadi kahani ki pas-e-fana hai nai zindagani sitam-o-raza mein ye hai ahd-e-mohkam jo teri kahani wo mari kahani wo uthenge tufan ki khuda bachae ye nae nazare ye bhari jawani ye nigah tirchhi ye bal abruon ka har ada hai dilkash magar imtihani meri kashti-e-dil dam-e-ah-o-afghan kabhi baadbani to kabhi dahani dar-e-dil se palta har ek aane wala teri yaad kya thi meri pasbani ye tera talawwun ye badalti chitwan ajab ek bala hai ki hai na-gahani meri kisht-e-dil par pa-e-zhaala-bari hai saped baadal aqab-e-jawani kabhi aarzu tha yahi dagh-e-hasrat mujhe jo bana de teri mehrbani