baaton baaton mein kiya khun aaj ek dil-gir ka wah kya kahna teri rangini-e-taqrir ka be-sabab kab hai tadapna aashiq-e-dil-gir ka sine se paikan nikalta hai tumhaare tir ka nau giraftaron ki wahshat ka bhi ho kuchh imtihan aaj sunna chahiye nala nai zanjir ka bais-e-hairat hua bimari-e-dil ka asar dekho ab to rang udta hai meri taswir ka bas bas ai zalim kahan tak imtihan-e-zabt-e-ah ab to dam ghutne laga hai aashiq-e-dil-gir ka mar gaya hai aap ka wahshi udasi chhai hai didani hai aaj aalam khana-e-zanjir ka dil bhi dhadka aap ka zulfen bhi bal khane lagin aur abhi zindan mein nala hai meri zanjir ka