bach-bacha kar jab kaha tarif main kam pad gaya aur khul ke likh diya to sher mein zam pad gaya waqt par nikle the aur ab tak pahunch jate bhi hum bich mein lekin mua aamon ka mausam pad gaya chaudhwin ki raat thi par chandni thirki nahin dekh ghungru ki udasi chand maddham pad gaya sang-e-marmar ki zamin par ek sikka yun gira do ghadi ko chhatpataya aur be-dam pad gaya is takalluf ke shahar mein log kanton se chubhe tu jo apna sa laga to dil pe marham pad gaya