bach kar kahan main un ki nazar se nikal gaya ek tir tha ki saf jigar se nikal gaya khud raftagi hi chashm-e-haqiqat jo wa hui darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya mahw-e-jamal rah gae hum kuchh khabar nahin aaya kidhar se yar kidhar se nikal gaya kaisa hawa hua mere rone ko dekh kar daman-e-abr dida-e-tar se nikal gaya rone se hijr-e-yar mein taskin ho gai dil ka bukhar dida-e-tar se nikal gaya aakhir kiya akhir-e-shab-e-wasl ne mujhe dam pahli bang-e-murgh-e-sahar se nikal gaya aahon ne mujh ko aatish-e-gham se najat di manind-e-dud nar-e-saqar se nikal gaya dikhlaya na-tawani ne ghar yar ka mujhe misl-e-nigah rauzan-e-dar se nikal gaya saqi ki chashm-e-mast ne aise dhuen udae shoala sa ek aatish-e-tar se nikal gaya joban se dhal chali hain kahan ab latak ki chaal wo pech un ke mu-e-kamar se nikal gaya us gul ke dagh-e-ishq ne aisa kiya gudaz ghul ghul ke maghz shama ke sar se nikal gaya mushkil hai ai 'saba' pa karo jabr ikhtiyar hai khair dil jo ishq ke shar se nikal gaya