dhup ke sath gaya sath nibhane wala ab kahan aaega wo laut ke aane wala ret par chhod gaya naqsh hazaron apne kisi pagal ki tarah naqsh mitane wala sabz shakhen kabhi aise to nahin chikhti hain kaun aaya hai parindon ko darane wala aariz-e-sham ki surkhi ne kiya fash use parda-e-abr mein tha aag lagane wala safar-e-shab ka taqaza hai mere sath raho dasht pur-haul hai tufan hai aane wala mujh ko dar-parda sunata raha qissa apna agle waqton ki hikayat sunane wala shabnami ghas ghane phul larazti kirnen kaun aaya hai khazanon ko lutane wala ab to aaram karen sochti aankhen meri raat ka aakhiri tara bhi hai jaane wala