bach ke aane ke hain hazar tariq chhup ke jaane ke hain hazar tariq dil ke aane ke hain hazar tariq jaan jaane ke hain hazar tariq tarz-e-jaur-o-sitam nahin na sahi dil dukhane ke hain hazar tariq qatl hi par nahin hai kuchh mauquf khun bahane ke hain hazar tariq gardish-e-bakht-o-gardish-e-gardun sar phirane ke hain hazar tariq laghzish-e-pa agar salamat hai chot khane ke hain hazar tariq ho tabiat jo mail-e-ehsan kaam aane ke hain hazar tariq khamushi ho sawal ho kuchh ho aazmane ke hain hazar tariq dene wala ghani hai ai 'masud' tere pane ke hain hazar tariq