bahut kam haisiyat mein naqd-e-jaan hai khuda ki rah ka sauda giran hai chhuri hai tir hai tegh-o-sinan hai ye kis bekas ka aakhir imtihan hai talatum-khez ye bahr-e-jahan hai bhanwar mein kashti-e-umr-e-rawan hai ada ho shukr kis kis ka khudaya hazaron neamaten hain ek zaban hai tera kucha bahut achchha hai lekin mere rahne ki gunjaish kahan hai azal kya tha faqat ek waqt-e-talim abad kya shai hai waqt-e-imtihan hai teri surat hai dil ke aaine mein tera hi nam ab wird-e-zaban hai nahin duniya maqam-e-aish-o-rahat jise dekho wo masruf-e-fughan hai ajal se samna hota hai ek din khizar bekar umr-e-jawedan hai uthati hai sitam har baghban ke wo ek bulbul jo musht-e-ustukhwan hai nahin duniya ko istihkaam hargiz yahan 'masud' kyon fikr-e-makan hai