bacha gar naz se to us ko phir andaz se mara koi andaz se mara to koi naz se mara kisi ko garmi-e-taqrir se apni laga rakkha kisi ko munh chhupa kar narmi-e-awaz se mara hamara murgh-e-dil chhoda na aakhir us shikari ne gahe shahin phenke us pe gahe baz se mara ghazal padhte hi meri ye mughanni ki hui haalat ki us ne saz mara sar se aur sar saz se mara nikali rasm-e-tegh-o-tasht dili mein jazak-allah ki mara to hamein tu ne par ek eazaz se mara na udta murgh-e-dil to changul-e-shahin mein kyun phansta gaya ye khasta apni khubi-e-parwaz se mara jahan tak saz-dari hai likhi dushman ke tale mein hamein badnam kar ke tale-e-na-saz se mara hazaron rang us ke khun ne yaron ko dikhlae jab us ne 'mushafi' ko apni tegh-e-naz se mara