hasin naghma-sarao! bahaar ke din hain labon ki jot jalao! bahaar ke din hain takallufat ka mausam guzar gaya sahab! naqab rukh se uthao bahaar ke din hain gulon ki sej to tauhin hai hasinon ki dilon ki sej bichhao bahaar ke din hain bahaar bit gai to tumhaari kya izzat sitam-zarif ghatao! bahaar ke din hain hai umr-e-rafta se parkhash kya bhala hum ko qarib hai to bulao! bahaar ke din hain mughanniyo! tumhein kahte hain hatif-e-rangin saman-e-baron ko jagao! bahaar ke din hain ye angbin si raaten badi muqaddas hain dilon ke dip jalao! bahaar ke din hain 'adam' ne tauba to kar li mughanniyo! lekin tum us ko rah pe lao bahaar ke din hain