bachao daman-e-dil aise ham-nashinon se mila ke hath jo daste hain aastinon se nigar-e-waqt ko itna to pairahan de do chhupa le dida-e-pur-nam ko aastinon se hamari fikr amanat hai subh-e-farda ki saman hai dur ka dekho na khurd-binon se ab apne zakhm-e-jabin ko chhupa bhi le ai dil tapak raha hai pasina kai jabinon se tujhe hawa-e-mukhalif jaga diya kis ne bahut qarib tha sahil kai safinon se na jaane mujrim-e-zauq-e-nazar pe kya guzri bhari thi rah-e-tamasha tamash-binon se sukut-e-waqt muarrikh hai likh liya us ne jo pattharon ne kaha be-khata jabinon se 'shamim' anjuman-e-ahl-e-zar mein kya jaen lahu ka rang jhalakta hai aabginon se