harf-ta-harf uftad ki shairi dil ki ek shahr-e-barbaad ki shairi kab samundar kinaron ka muhtaj hai kab dil mauj-e-azad ki shairi bansuri ki madhur lai se bahar nikal sun zara ruh-e-nashad ki shairi tark hoti nahin aisi kuchh aadaten fikr dad-e-hawas dad ki shairi tauba tauba ki rakkhi hai footpath par 'mir' sahab se ustad ki shairi karte karte sipurd-e-qalam kar gai mujh pe jadu pari-zad ki shairi chashm-e-baran ka dukh bantana farz hai kuchh karen abr ki baad ki shairi rabt ke daur mein khub likhte the hum be-sabab be-maza baad ki shairi raat palkon mein 'rakhshanda' katenge hum ta-sahar hogi ab yaad ki shairi