hum aise log jald asir-e-khizan hue lekin ghurur-o-tamkanat-e-gulistan hue tufan-e-ahd-e-taza tera shukriya ki ab jitne sitare zehn mein chamke dhuan hue aae hain phul dhup se bachne meri taraf mera hi dil hai chand jahan mehman hue jab tum mile to samne mai-khana mil gaya aur falsafe hayat ke sab raegan hue meri nazar se aaj gurezan hai gulistan meri nazar ki chhanw mein ghunche jawan hue ab kuchh nahin hai mabad-e-geti khata muaf moti se ashk sarf-e-mah-o-kahkashan hue ab ma-hasal hayat ka bas ye hai ai 'salam' cigarette jalai sher kahe shadman hue