bachcha bana hua hai baghawat ke baad bhi nadim nahin hai koi shararat ke baad bhi tana barasti aag mein kaghaz ka saeban jal bujh gae hain log hifazat ke baad bhi manzil pe ja ke panw ke chhaale ubal pade hum ko sukun mila na masafat ke baad bhi suraj ki raushni bhi na dil mein utar saki thandak rahi badan mein tamazat ke baad bhi hote hi sham yurish-e-khalwat ne aa liya masruf ho gaya main faraghat ke baad bhi jo kuchh kaha gaya use mane nahin hain hum baghi raha hai zehn hirasat ke baad bhi ab phir usi ke nam pe bekal hua hai 'jaan' dil mein wahi tadap hai adawat ke baad bhi