subh-e-firaq al-aman wasl ki sham al-aman ajib hai bisat-e-ishq ajab nizam al-aman the kabhi jo surkh-ru wo to hum nahin rahe tum to ho chunin-chunan tumhaara nam al-aman guzar gai ye zindagi qadam qadam ghasit ke maut bhi aa rahi hai kya gam-ba-gam al-aman phir raha tha ja-ba-ja faqir rizq ke liye aakhir use ghiza mili wo bhi haram al-aman sari talash hai abas sari talab hai raegan kar-e-fuzul ishq mein sab kuchh tamam al-aman harf-e-kalam se pare harf-e-sukut ka jahan koi nahin pahunch saka naqsh-e-dawam al-aman khulta nahin 'hamesh' par uqda-e-fareb kyun kis ne bichhae hain yahan dana-o-dam al-aman