bad-gumani ki sada kai jami rahti hai is qadar chashm-e-gurezan mein nami rahti hai tum to is ghar se gae raunaqen ghar ki le kar ab to virani si is ghar mein padi rahti hai mujh ko laengi kinare pe ye lahren ek din jin se kashti meri har-waqt ghiri rahti hai hai ye eajaz-e-karam teri masihai ka shakh gulha-e-aqidat ki hari rahti hai kis tarah dekhun tujhe madd-e-muqabil mere hairaton ki koi diwar khadi rahti hai kaun rahta hai yahan koi nahin rahta hai ab to is dil mein faqat teri kami rahti hai khol deta hun sabhi yaad ke tasme lekin ek ummid sada dil se bandhi rahti hai kaise mumkin hai kisi aur ki khushbu aae teri khushbu meri sanson mein basi rahti hai apne qadmon mein simat jate hain sae 'ashhar' dhup mahrumi ki jab sar pe kadi rahti hai