yun sari umr zist ke darman mein rah gae daman sila to chaak gareban mein rah gae tahrir kar sake na safar-nama-e-hayat har mod par tayyun-e-unwan mein rah gae manzil ko kuchh na rah ki saughat de sake jo aable the khar-e-mughilan mein rah gae kante chubhan malal thakan aur be-kasi kya kya the ham-safar jo bayaban mein rah gae kab mausam-e-bahaar gaya kuchh pata nahin aisa ulajh ke jaib-o-gareban mein rah gae ilzam ye baja hai tera ai khayal-e-dost hum dil-nawazi-e-gham-e-dauran mein rah gae shana-kashon ne dil ko bhi shana bana diya kham phir bhi kitne gesu-e-dauran mein rah gae ek ek kar ke dagh-e-jigar de rahe the lau yun sari raat jashn-e-charaghan mein rah gae rindon ne apne khun se maqtal saja diye waiz surur-e-baada-e-irfan mein rah gae hum ko to zindagi tah-e-khanjar hi mil gai sab justuju-e-chashma-e-haiwan mein rah gae 'natiq' kahan hai safha-e-qirtas ko khabar kitne khayal zehn ke zindan mein rah gae