hain wazife sath subh-o-sham ke

hain wazife sath subh-o-sham ke
warna hum duniya mein hain kis kaam ke

le udi hai aag nafrat ki hawa
dekhna raqs-e-sharar dil tham ke

kaise mumkin hai tere hote hue
din mayassar hon kabhi aaram ke

subh-e-nau hum ne use samjha magar
de gaya manzar wo sare sham ke

aisi bekari na thi pahle kabhi
mashghale bhi ab nahin aalam ke

dekh kar hum ahl-e-dil ki mastiyan
hosh gum hain gardish-e-ayyam ke

ruh taslim-o-raza ki mit gai
rah gae 'ashhar' musalman nam ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close