kis qadar dard ke shab karta tha mazkur tera wo hi bimar tera khasta-o-ranjur tera be-khabar ab bhi shitabi se pahunch darta hun kushta-e-hijr na ho ye kahin mahjur tera ye na aane ke bahane hain sabhi warna miyan itna to ghar se mere kuchh nahin ghar dur tera nichi nazron se teri darta hun kya kuchh na karen dekh lena to yahan sab ko hai manzur tera aankhen in rozon mein sach kahiyo ladaen kis se be-tarah jhamke hai kuchh dida-e-makhmur tera jis ki tu yari kare yari-e-do-jag wo kare nasir-e-har-do-jahan howe hai mansur tera shash-jihat tujh sati mamur hai allah allah jhamke hai chaaron taraf nam-e-khuda nur tera