ban gain mahjuriyan aazar-e-jaan kis se kahen hum dil-e-betab ki betabiyan kis se kahen aah saman-e-sukun-e-zindagi mumkin nahin ho gae dushman zamin-o-asman kis se kahen zindagi ki bazm ahl-e-dard se khali hui dard mein dubi hui ye dastan kis se kahen gardishon ne lut li yaksar mata-e-zindagi baghban ne noch phenka aashiyan kis se kahen zindagi ka lamha lamha sad masaib dar-baghal har ghadi hai ek daur-e-imtihan kis se kahen gardishen nakaamiyan mahrumiyan mayusiyan ho gai hai zindagi bar-e-garan kis se kahen kaun dekhe husn ki paiham sitam-ijadiyan aashiqi ki bandish-e-ah-o-fughan kis se kahen hijr ki kaifiyyaton se hai kisi ko kya gharaz hum yahan par muztarib hain tum wahan kis se kahen sunne walon se hua mafqud sunne ka mazaq gulsitan-e-ishq ki barbaadiyan kis se kahen chappa-chappa ahl-e-dil ke waste hai khar-zar zarra-zarra aashiqon se bad-guman kis se kahen dil ki baaten lab par aaen bhi to sunta kaun hai uth gae sab ham-khayal-o-ham-zaban kis se kahen yar jab aghyar ho jaen to kya lutf-e-sukhan mehrban ho jaen jab na-mehrban kis se kahen dil ke arman rafta-rafta 'nami'-e-andoh-gin ja rahe hain karwan-dar-karwan kis se kahen