bada aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo agarche mehrban hai wo bada aazar-e-jaan hai wo misal-e-asman hai wo mujhe zarkhez karta hai mujhe zarkhez karta hai misal-e-asman hai wo karim-o-saeban hai wo mujhe mahfuz rakhta hai mujhe mahfuz rakhta hai karim-o-saeban hai wo agarche be-makan hai wo panahen mujh ko deta hai panahen mujh ko deta hai agarche be-makan hai wo bada aaram-e-jaan hai wo liye phirta hai sine mein liye phirta hai sine mein bada aaram-e-jaan hai wo agarche be-zaban hai wo nazar se baat karta hai nazar se baat karta hai agarche be-zaban hai wo ek aisa zahr-e-jaan hai wo main jis ko pi ke zinda hun main jis ko pi ke zinda hun ek aisa zahr-e-jaan hai wo ki bahr-e-be-karan hai wo tabhi sahil nahin milta tabhi sahil nahin milta ki bahr-e-be-karan hai wo mizaj-e-dushmanan hai wo paraya bhi hai apna bhi paraya bhi hai apna bhi mizaj-e-dushmanan hai wo kamal-e-dostan hai wo wahi awwal wahi aakhir wahi awwal wahi aakhir kamal-e-dostan hai wo amir-e-karwan hai wo main us ki rah chalta hun main us ki rah chalta hun amir-e-karwan hai wo bada gauhar-fishan hai wo mujhe bhi kuchh guhar dega mujhe bhi kuchh guhar dega bada gauhar-fishan hai wo sunahri kahkashan hai wo dahakte hain kai suraj dahakte hain kai suraj sunahri kahkashan hai wo suna hai mehrban hai wo 'anis' itraate phirte hain 'anis' itraate phirte hain suna hai mehrban hai wo