tere gesuon ke sae mein jo ek pal raha hun abhi tak hai yaad mujh ko abhi tak bahal raha hun main wo rind-e-nau nahin hun jo zara si pi ke bahkun abhi aur aur saqi ki main phir sambhal raha hun nahin gham na mil sakegi mujhe shaikh teri jannat mujhe aarzu nahin hai na main hath mal raha hun jo na mere kaam aae jo na meri baat mane main wo dil badal raha hun main wo dil badal raha hun mujhe jada-e-talab mein rah-e-pur-khatar ka kya gham ki qadam jidhar uthe hain usi samt chal raha hun jo gira to phir uthunga ki jawan hai azm mera mujhe tum na do sahaara main agar phisal raha hun wo daba ke mera daman wo jhuka ke un ki nazren nahin bhulta ye kahna abhi main bhi chal raha hun