bada mukhtalif sa mere harif ye dao tha mere dosh par teri ungliyon ka dabao tha meri aane wali tamam umr ka ghaw tha wo jo sham padne se peshtar ka padaw tha kiye aise duniya ne tabsire bani dastan wo jo milna-julna hamara sidhe subhaw tha jise apne hisse ke dukh na aae sambhaalne use sab ke talwon ke khar chunne ka chaw tha wahi nam tha wahi ungliyan thin wahi hawa wahi ret thi wahi sahilon ka kataw tha wo bajae khisht rusum duniya ki zad pe thi thi nai kaniz nai tarah ka chunaw tha jale baadban to aks pani mein hans diye ise dub jaane do is ka nam bhi naw tha kabhi raushni ka tilism tute to dekhna ki 'sadaf' ye nur nahin tha zard alaw tha