wafa chahta tha jafa chahta hun main kya chahta tha main kya chahta hun wafur-e-alam se hai ye haal mera abhi ashk ban kar baha chahta hun nahin mujh ko malum khud apni khwahish tumhein kya bataun main kya chahta hun mujhe ja-ba-ja apne jalwe dikhao tumhein har jagah dekhna chahta hun koi meri is sada-lauhi ko dekhe gham-e-ishq ki main dawa chahta hun mile hain zamane ke sab aish mujh ko khuda jaane main aur kya chahta hun badha ja raha hun kahan se kahan tak khuda-e-do-alam hua chahta hun bahar-haal main shukr karta hun tera bahar-haal teri raza chahta hun tumhin se tha jab mera har khwab rangin wahi ishq ki ibtida chahta hun gham-e-ishq hi hai meri shart-e-hasti gham-e-ishq had se siwa chahta hun na hai dard-e-dil ki dawa koi 'shaida' na main dard-e-dil ki dawa chahta hun