hai ye ibtida gham-e-ishq ki abhi zahr-e-gham piya jaega kabhi chaak hoga ye pairahan kabhi pairahan siya jaega ye ajib ahd-e-tilism hai yahan zist maut ki qism hai yahan teri baat se munharif tujhe barmala kiya jaega paki fasl katne se peshtar nae sar ugana na bhulna hai qafas-garon se muqabla isi taur hi jiya jaega dar-e-dil pe khushiyon ki dastaken jo sunin to dard sisak utha main janam janam se yahan hun ab mujhe dar-ba-dar kiya jaega yahan sare raste pate hain lashon se in ke bich sanbhal ke chal tu safir-e-amn hai laut ja tujhe rasta diya jaega koi sang hai ki jidhar se aae usi ki samt uchhaal dun ye mohabbaton ka jawab hai zara soch kar diya jaega mere log kitne hain ba-khabar mujhe is se pahle khabar na thi kisi aur shakhs ka tazkira mere nam se kiya jaega yahan un pe hogi giraft jin pe ho doston ka guman 'sadaf' wo jo dushmanon ki safon mein hai use sath le liya jaega