be-wajh tahaffuz ki zarurat bhi nahin hai aisi mere andar koi aurat bhi nahin hai han un ko bhula dalenge ek umr padi hai is kaam mein aisi koi ujlat bhi nahin hai kis munh se gila aisi nigahon se ki jin mein pahchan ki ab koi alamat bhi nahin hai un ko bhi mujhe sher sunane ka hua hukm kuchh sher se jin ko koi nisbat bhi nahin hai mere bhi to mazi ki bahut si hain kitaben par un ko palatne ki to fursat bhi nahin hai kuchh tum se gila aur kuchh apne se ki mujh ko har haal mein khush rahne ki aadat bhi nahin hai main dafan rahun ab yunhi resham ke kafan mein ab is ke siwa aur to surat bhi nahin hai