badalne wali hai faza ai dil kuchh aur der ruk

badalne wali hai faza ai dil kuchh aur der ruk
hai shab ka aakhiri pahar andhere honge zer ruk

jahan-e-dil pe raushni bikherne ke waste
wo mahtab aaega abhi nazar na pher ruk

abhi abhi hua hai ishq abhi se kyon hai muztarib
lagega teri zindagi mein bhi ghamon ka dher ruk

bahut dinon ke baad aae hain wo khwab mein unhen
main aankh bhar ke dekh lun ai khwab thodi der ruk

nabaat-o-nakhl par giran guzarta hai ye mashghala
darakht ke tane pe yun huruf mat uker ruk

nahin hai kaam buz-dilon ka ishq ke mahaz par
yahan sabhi diler hain jo tu bhi hai diler ruk

milegi dad-e-fan kuja jalenge tujh se ham-sukhan
har ek bazm mein hunar ke jalwe mat bikher ruk

dil-e-gharib ko ai 'shad' khwahishon ke jal mein
qasam hai tujh ko yun na be-murawwati se gher ruk


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close