be-ijazat to bas aati hai hawa kamre mein

be-ijazat to bas aati hai hawa kamre mein
kaun rahta hai tere sath bata kamre mein

roz aati hai dabe-panw kisi ki khushbu
chhod jati hai koi nam pata kamre mein

apne haalat bataen to bataen kis ko
ek kurta hai tere baad tanga kamre mein

har nai baat pe ji bhar ke tamasha karna
ye faraez to wo karte hain ada kamre mein

mujh se tu meri udasi ka sabab puchhta hai
ja kabhi tu meri taswir laga kamre mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close