badalte rangon ki taswir ho chuka hun main kuchh aisa lagta hai taskhir ho chuka hun main bujha do mashalen ab der ho chuki yaro khud apne panw ki zanjir ho chuka hun main main ek khwab tha pahle haqiqaton se pare zamana guzra ki tabir ho chuka hun main utara jaega mujh ko nai zaminon par sahifon ke liye tahrir ho chuka hun main mera wajud hai ibrat ke waste 'kazim' kisi gunah ki tazir ho chuka hun main