badan churaate hue ruh mein samaya kar main apni dhup mein soya hua hun saya kar ye aur baat ki dil mein ghana andhera hai magar zaban se to chandni lutaya kar chhupa hua hai teri aajizi ke tarkash mein ana ke tir isi zahr mein bujhaya kar koi sabil ki pyase panah mangte hain safar ki rah mein parchhaiyan bichhaya kar khuda ke waste mauqa na de shikayat ka ki dosti ki tarah dushmani nibhaya kar ajab hua ki girah pad gai mohabbat mein jo ho sake to judai mein ras aaya kar nae charagh jala yaad ke kharabe mein watan mein raat sahi raushni manaya kar