samne jab koi bharpur jawani aae phir tabiat mein meri kyun na rawani aae koi pyasa bhi kabhi us ki taraf rukh na kare kisi dariya ko agar pyas bujhani aae main ne hasrat se nazar bhar ke use dekh liya jab samajh mein na mohabbat ke maani aae us ki khushbu se kabhi mera bhi aangan mahke mere ghar mein bhi kabhi raat ki rani aae zindagi bhar mujhe is baat ki hasrat hi rahi din guzarun to koi raat suhani aae zahr bhi ho to wo tiryaq samajh kar pi le kisi pyase ke agar samne pani aae ain mumkin hai koi tut ke chahe 'saqi' kabhi ek bar palat kar to jawani aae