badan ke chaak par zarf-e-numu tayyar karta hun main kuza-gar hun aur mitti ka karobar karta hun meri khandaq mein us ke qurb ki qindil raushan hai mere dushman se kah dena main us se pyar karta hun kahin to reg-e-khufta ki tarah pani mein pad rahta waraq-gardani-e-sahra main kyun be-kar karta hun uthae phir raha hun hasrat-e-tamir ki inten jahan saya nahin hota wahin diwar karta hun jahan bhi sham-e-tan jae muhafiz sanp ki surat main apni rezgari ki wahin ambar karta hun usi ko samne pa kar usi ko bhinch kar 'tabish' sukut-e-na-shanasi ko sukhan-asar karta hun