hasil us mah-laqa ki did nahin id hai aur hum ko id nahin chhed dekho ki khat to likkha hai mere khat ki magar rasid nahin jaante hon umid-war mujhe un se ye bhi mujhe umid nahin yun taraste hain mai ko goya hum pir-e-mai-khana ke murid nahin khun ho jaen khak mein mil jaen hazrat-e-dil se kuchh baid nahin aao mere mazar par bhi kabhi kushta-e-naz kya shahid nahin hum to mayus hain magar 'bekhud' dil-e-na-fahm na-umid nahin