chehron mein nazar aaen aankhon mein utar jaen hum tujh se juda ho kar har samt bikhar jaen din bhar ki mashaqqat se thak haar ke ghar jaen aur apni hi dastak ki aawaz se dar jaen achchha hai ki hum apne hone se mukar jaen ya apni khabar de kar chupke se guzar jaen jis shahr bhi hum jaise barbaad-e-nazar jaen auraq musawwir ke taswir se bhar jaen udte hue patton ne mausam ki khabar di hai hum phir se sanwarne ko ek bar bikhar jaen phulon ki qaba pahnen khwabon ki dhanak odhen hum qarya-e-jaanan mein kyun khak-basar jaen