badan ki mauj mein angdaiyan ulajh jaen tilism aisa ki binaiyan ulajh jaen jo tere panw ki bikhri ho khak rahon mein wahan se guzren to parchhaiyan ulajh jaen khuli ho zulf to sar par dupatta rakh lena na aisa ho kahin purwaiyan ulajh jaen zaban-e-ishq jo kholen kahin pe sannate bade badon ki bhi danaiyan ulajh jaen nigah dur hi rakkho hamare zakhmon se jo in ko dekhen to gahraiyan ulajh jaen majaz thik hai dil ke tadapte rahne ka hamari mauj mein tanhaiyan ulajh jaen ilaj ishq ka karne jo aae chaaragar maraz mein sari masihaiyan ulajh jaen uruj sare badal jate hain zawalon mein agarche panw se ruswaiyan ulajh jaen sunen ye dil se mere dard ki azan agar 'nadim' aap ki shahnaiyan ulajh jaen