har dam shagufta-tar jo hansi mein dahan hua ghunche se pahle gul hua gul se chaman hua zahid hua asam hua barahman hua is rah mein rahnuma jo bana rahzan hua surat badal gai koi pahchanta nahin aashiq tera watan mein gharib-ul-watan hua qad sarw nargis aankh dahan ghuncha gul ezar jalwe se us ke khana-e-viran chaman hua ghairon ne baithne na diya jab kahin mujhe main anjuman mein muntazim-e-anjuman hua tab-e-jafa-shiar ki tafrih ke liye nala mera tarana-e-murgh-e-chaman hua 'mushtaq' sufiyon mein to taib hua tha kal sunta hun aaj rindon mein tauba-shikan hua