badan mein zahr tha ya iztirab tha kya tha ye zindagi mein musalsal azab tha kya tha samaaton se badan tak tha chhalni chhalni tamam kisi ka lahja tha ya aaftab tha kya tha wo jis ki did se aankhen hamari khira huin kisi ka husn tha ya mahtab tha kya tha main bhagta hi raha tishnagi bujhi na meri ye mera wahm tha ya phir sarab tha kya tha gira gaya hai jo shadab sabz pedon ko wo zalzala tha ki koi azab tha kya tha jo meri chashm-e-falak par kabhi thahar na saka sahab tha ki hasin ek khwab tha kya tha main apne aap ko hal kar saka na aakhir tak mera wajud muamma tha khwab tha kya tha fasad phut pada shahr mein mere 'naqwi' sitam tha qahr tha yaum-ul-hisab tha kya tha